diya kuchh is tarah jal gaya ,
ki pure ghar me kalikh mal gaya,
dhalegi badh to aayenge neta,
ye mat samjho ki khatra tak gaya,
hansi dunia ke khinche the jo nakshe,
hui muddat wah kagaj gal gaya,
dashara dekhkar khush hain ye bachhe,
samajhte hain ki ravan jal gaya.
No comments:
Post a Comment